EPISODE · Jun 8, 2020 · 2 MIN
hamesha der kar detaa hun main by Muneer Niazi
from Poetry Shayari · host Voice of Hayat
hamesha der kar detaa hun main har kaam karne meñ zarūrī baat kahni ho koī va.ada nibhānaa ho use āvaaz deni ho use vaapas bulānaa ho hamesha der kar detā hun main…. madad karni ho us kii yaar kii Dhāras bañdhānaa ho bahut derīna rastoñ par kisi se milne jaanā ho hamesha der kar detaa hun maiñ …. badalte mausamoñ kii sair meñ dil ko lagānaa ho kisi ko yaad rakhnā ho kisi ko bhuul jaanā ho hamesha der kar detā hun maiñ …. kisi ko maut se pahle kisi ġham se bachānaa ho haqeeqat aur thii kuchh us ko jaaa ke ye batānaa ho hamesha der kar detaa huuñ maiñ har kaam karne meñ.....
What this episode covers

NOW PLAYING
hamesha der kar detaa hun main by Muneer Niazi
No transcript for this episode yet
Similar Episodes
Jun 29, 2026 ·60m
Jun 22, 2026 ·61m
Jun 15, 2026 ·65m
Jun 8, 2026 ·64m
Jun 1, 2026 ·55m
May 29, 2026 ·63m