PodParley PodParley

Uske baad kya ?

Episode 27 of the The Sukoon show podcast, hosted by Wajid Shaikh, titled "Uske baad kya ? " was published on October 18, 2024 and runs 1 minutes.

October 18, 2024 ·1m · The Sukoon show

0:00 / 0:00

kar loonga jam'a daulat-o-zar us ke baad kya le loonga shaandaar sa ghar us ke baad kya may ki talab jo hogi to ban jaaunga main rind kar loonga maykado ka safar us ke baad kya hoga jo shauq husn se raaz-o-niyaaz ka kar loonga gesuon mein sehar us ke baad kya she'r-o-sukhan ki khoob sajaaoonga mahfilein duniya mein hoga naam magar us ke baad kya mauj aayegi to saare jahaan ki karunga sair waapas wahin puraana nagar us ke baad kya ik roz maut zeest ka dar khatkhataayegi bujh jaayega charagh-e-qamar us ke baad kya uthi thi khaak khaak se mil jaayegi wahin phir us ke baad kis ko khabar us ke baad kya By : Qamar Jalalabadi Voice : Wajid shaikh Https://www.instagram.com/iwajidshaikh

kar loonga jam'a daulat-o-zar us ke baad kya

le loonga shaandaar sa ghar us ke baad kya


may ki talab jo hogi to ban jaaunga main rind

kar loonga maykado ka safar us ke baad kya


hoga jo shauq husn se raaz-o-niyaaz ka

kar loonga gesuon mein sehar us ke baad kya


she'r-o-sukhan ki khoob sajaaoonga mahfilein

duniya mein hoga naam magar us ke baad kya


mauj aayegi to saare jahaan ki karunga sair

waapas wahin puraana nagar us ke baad kya


ik roz maut zeest ka dar khatkhataayegi

bujh jaayega charagh-e-qamar us ke baad kya


uthi thi khaak khaak se mil jaayegi wahin

phir us ke baad kis ko khabar us ke baad kya

By : Qamar Jalalabadi

Voice : Wajid shaikh

Https://www.instagram.com/iwajidshaikh


URL copied to clipboard!