Aahistah Aahistah
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Shaam hai zeest ki ahista, ahistah, tamaam ho Goya maikade men khaali, ahista jaam ho Sumundur hai zeest, behr o darya bhi yaro Aab e kauser se iska ahista inzimaam ho Ji li hai zindagi bharpoor main ne, dosto Meri raftaar ko ab ahistah, ahista, aaraam ho Kabhi bura nahin chaaha daanistah kisi ka Is baat ka bhi ailaan, aahistah, khule aam ho Jo ijazat e zameer aur ba izzat kaha jaaye To aisa na koi kahin paaband kalaam ho Muhabat ki zamaane se, phir kosa bhi isey Isi ko mera, aahistah, aadaab o salaam ho Tark kiya shor o ghul ordha libaas tanhayi ka Uthne ka, ai ‘sahil’ ji, ahista ab nizaam ho Jaam. Pyaala Inzimaam. Confluence Daanistah. Jaan ke. Knowingly Tark kiya. Chhorda Nizaam. Intezaam Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.