Aazaad hai Rooh/ Dard-e-dil ka Darman
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Title - Aazaad hai Rooh/ Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Zindagi ka maqsood hai duhrana khuda ka naam Maut hai, guzar jaana yahan se ba aaraam Khatm ho jaayen ge jhagray, yeh fitne tamaam Naam rakho, ai logo, phoolon ka Raheem o raam Na zaat na mazhab na ism, na rang-e-badan Buri nazar se dekhna hai har haal mein haraam Jazba-e-shauq, zabt-e-junoon ka, mil jaye ik jaam Pila de saqi aaj mujhe tu shola-e-mai gulfaam Chhu liya hai main ne jab mah o Anjum ko Kya dikhao ge mujhe tum, le ja kar sar-e baam Jannat ke nazare khumgah mein nahin hain Kya miley ga ja kar saqi, wahan deegar aaraam Muqqiyad kya kare ga, ai Sheikh , mujhe tu Rooh meri aazaad hai, main hun banda-e-be daam Naaseh, na vaiz, na pand, na hi mehraab Naam leta reh ‘Sahil’ tu maula ka, bas subh o shaam
Embed this episode
No transcript yet.