Ai Insaan- Dard-e-dil ka Darman
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Title -Ai Insaan / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Be niyazi to sift-e-laa jawab hai Be niyazi to ab sirf ik khawaab hai Jhuke sar aur Jhukein palkein Aaj khyalِ-e-khaam, saraab hai Intikhab yeh kaisa, ai baghbaan bata Kya har gُul ka naam yaan ghulaab hai Kabhi to nibha tu farz bhi apna Ai insaan, tu kyun muntazir sawaab hai Lutaf lete thay kabhi samandar ka, ‘Sahil’ Haif, aaj har su darya payaab hai
Embed this episode
No transcript yet.