EPISODE · Mar 17, 2024 · 2 MIN
Ameer Minai - Naat - Sallaaho-alaihe-Vasallam
from Roohaniyat Urdu Podcast · host Roohaniyat Urdu Podcast
Poet: Ameer Minai KHalaq ke servar, shaafa-e-mahshar, sallaaho alaihe-vasallam mursal-e-daavar-e-KHaas payambar, sallaaho alaihe-vasallam nuur-e-mujassam, nayyar-e-aazam, survar-e-aalam, muunis-e-aadam nuuh ke hamdam, KHizr ke rahbar, sallaaho alaihe-vasallam faKHr-e-ayaa.n hai.n, arsh-e-makaa.n hai.n, shaah-e-shahaa.n hai.n, saif-e-zabaa.n hai.n sab pe ayaa.n hai.n aap ke jauhar, sallaaho alaihe-vasallam bahar-e-saKHaavat, kaan-e-muravvat, aaya-e-rahmat, shaafe.a-e-ummat maalik-e-jannat, qaasim-e-kausar, sallaaho alaihe-vasallam qibla-e-aalam, ka.aba-e-aazam, sab se muqaddam raaz ke mahram jaan-e-mujassam, ruuh-e-musavvir, sallaaho alaihe-vasallam daulat-e-duniyaa KHaak baraabar, haath ke KHaalii dil ke tava.ngar maalik-e-kishvar taKHt na afsar, sallaaho alaihe-vasallam rahbar-e-muusaa, haadii-e-iisaa, taarik-e-duniyaa, malak-e-uqbaa haath kaa takiya, KHaak kaa bistar, sallaaho alaihe-vasallam chashma-e-jaarii, KHaassa-e-baarii, gard-savaarii baad-e-bahaarii aa.iina-daarii, faKHr-e-sikandar, sallaaho alaihe-vasallam mehr se mamluu, resha resha ne.amat, 'amiir' apnaa hai pesha dard hamesha rahtaa hai aksar, sallaaho alaihe-vasallam
Embed this episode
Ready to play
Ameer Minai - Naat - Sallaaho-alaihe-Vasallam
No transcript for this episode yet
Similar Episodes
No similar episodes found.
Similar Podcasts
No similar podcasts found.