Ana
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Ana bhi kya hai cheez hai Insan aur haiwaan mein Tum mein mujh mein sab mein hai Aur, phir hai us Iblees mein To kya ana shaitan hai Achha bura pakwaan hai Aur, har insan mein iska koi Achha bura nishaan hai Zameer, ana hain qareeb bahot Sab ka zahn makaan hai Zururi bhi hai ana be shak Insan ka fakhr uski jaan hai Per, yeh do dhaara talwaar hai Zawaal bhi aur shaan hai Ana baghair nidhaal hai banda Insan badgumaan hai Zabt e ana men shaan hai ‘Sahil’, isi men bhi imtehaan hai Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.