EPISODE · Feb 14, 2026 · 2 MIN
Chand Raat
from Sirf Bol · host Shaman Kaur
gae baras ki id ka din kya achchha tha chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha faza mein 'keats' ke lahje ki narmahaT thi mausam apne rang mein 'faiz' ka misra tha dua ke be-awaz uluhi lamhon mein wo lamha bhi kitna dilkash lamha tha hath uTha kar jab aaankhon hi aaankhon mein us ne mujh ko apne rab se manga tha phir mere chehre ko hathon mein le kar kitne pyar se mera matha chuma tha! hawa! kuchh aaj ki shab ka bhi ahwal suna kya wo apni chhat par aaj akela tha? ya koi mere jaisi sath thi aur us ne chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha? -Parveen Shakir Music: Baghon mein by Arooj Aftab
Embed this episode
Ready to play
Chand Raat
No transcript for this episode yet
Similar Episodes
No similar episodes found.
Similar Podcasts
No similar podcasts found.