Chund Qataat
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Title - Chund Qataat By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Gul dekhe bahaar dekhi aaye khizaan jab aaye Khwahish ki haaye na hai aziyat ki haaye ‘Sahil’ musta’ar hai hayaat waapas to karni hogi Sochne ka bojh kyon, jaan jaani hai, jaaye jab jaaye Zindagi ek bazaar nahin to kya hai Rozi roti kaarobaar nahin to kya hai Qismat ne likha hai sukh dukh har lakeer mein Yeh khuda per aitbaar nahin to to kya hai Khazaan hi batlaye bahaar kya hai Dua batlaaye inkaar kya hai Ab kaun batlaaye 'sahil' tujhe Gaza mein atyachaar kya hai Rukhsati bataye hona la chaar kya hai Khazan bataye soz e bahaar kya hai Maysamon ki baat kya karni 'sahil' Tu bata dil e be qaraar kya hai Chaahatein be shumaar hotin hain Kashtiyaan la chaar hotin hain Patwaar to Maula hai na 'sahil' Umeedein badi be qaraar hotin hain Kal na huay to kya hua Aaj they to kya hua Yeh kal aur aaj ki paheli 'sahil' Jeene ko karti hai juda Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.