Dooriyaan Kya
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Title - Dooriyaan Kya By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Dooriyaan kya aur kya nazdeekiyaan Sitam ki sab baareekiyaan Num chashm aur woh naalishen Aahen bhari woh siskiyaan Mahabatein aur chhahatein Azaab hain sab tanhayiaan Kya ishtiyaaq aur khwahishein Daaman pe daagh ki ruswayiaan Lams kya aur kya dhadkanen Humsayiaan aur kya humnawayiaan Ho jaayein zakhm mundamil to kya Yaad aati hain woh nasooriyaan ‘Sahil’, muhaal kya aur kya mushkilein Vasl kya aur kya judaiyaan Jeene ki sab yeh uljhanein Dil o dimaagh ki hain pareshaniyaan Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.