Guftagu Khuda se
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Guftagu khuda se , woh bandagi dekhiye Us insan, us dil ki, tabindagi dekhiye Jo dil ke khaanon men rakhe haafiz, khuda ko Woh fahm o firasat woh danishmandi dekhiye Kahan jaate ho yaro tum dil ko lagaane Kabhi hum se bhi mil kar dil lagi dekhiye Haan, badle zamane hain apni jagah, lekin Kabhi ulfaton puraani ki adayegi dekhiye Unsiyat samajhni hai tum ko agarn To mil kar phir hum se wabastagi dekhiye ‘Sahil’, raunaq mehfil men har su hai dekhiye Aur, usi men phir hamaari tum saadagi dekhiye Tabindagi. Raushani. Chamak Fahm o firasat. Wisdom. Intellect Danishmandi wisdom Adayegi. Naaz o nakhra Unsiyat. Bhai chara Wabastagi. Relation connection
Embed this episode
No transcript yet.