Jaan Ki Baazi
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Title - Jaan Ki Baazi By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Jaan ki baazi lagaane walo Jaan to musta’ar hai Naqsh e pa sahil per kya, jab Manzil hi us paar hai Takte hain falak ko sab Kya jannat us paar hai Kya basta hai khuda wahan Woh jo sab ka yaar hai Maana firasatmand ho shaikh Per, rab to tum se hoshyaar hai Mominon ka, kaafiron ka Wohi ek parwardigaar hai Kabhi to maano baat hamari Har baat per kyon inkaar hai Zubaan per aitbaar kya Jab ashk hi ghamkhwaar hai Aankh na jhapke phir batana Ba safa kaun, kaun gunahgaar hai Yaro, shaikyaan kis kaam ki Ghalib to maut ki talwaar hai ‘Sahil’ tu hi samjha in uljhanon ko Gar sarwat kuchh hai to pyaar hai Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/ Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English) https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu ) https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi
Embed this episode
No transcript yet.