Khud se Guftugu / Dard-e-dil ka Darman
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Mukhtalif rang hote hain shajar par yaro Nazar kyun hai tumhari mere hi dilbar par Gar khud se guftugu mein na aaye lutf tumhen Phir kya karo ge jaakar yaron ke ghar par Inkisari bunyaad hai jab sukun ki dosto Naqash-e-pa na banao zar ki dagar par Nigehen sath na den alfaaz ke agar Rakhiye aitmaad, phir sirf nazar par Aadi hain log dekhiye khoshamad ke kaise Jata raha yaqeen bhi, Insaan-e-ahqar par Shab par munhasir hai aftaab ka ghuroob hona Khurshid bhi bhatakta hai, ik umeed sehar par Chehron par nahin, naqaab dilon par hai Jaan haazir hai jaanan, tere liye Kyun kere aitbaar koi majazi paiker par Mazeed aafat na dha, tu sokhta jigar par Fitna bohat hai haal ki duniya mein, ‘Sahil’ Inhisaar rakh too qalam par, na ke nishtar par Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.