Luft e Sukhan-Lyrics by Ashok Sawhny
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Lutf e sukhan to sukhan mein hai Jaan to meri badan mein hai Taaliyon ki goonj se kya miley Sukun to raushan man mein hai Yeh justaju e shauhrat hai kya kaho Khaalipan to saara dhan mein hai Taqreeren to har ja be shumaar hain Daanayi lafzon ke vazn mein hai Waaldain qareeb aulaad hai kitni Taskeen isi shaan mein hai Ma ke gehwaare ko bhooley hain log Afsos to isi badzan mein hai Main aya, main ne dekha, fateh kiya Aaj zawaal isi lagan mein hai Kyon bhuli hai aaj apnon ko dunya ‘Sahil’, rooh to aakhir watan mein hai
Embed this episode
No transcript yet.