Main hun meri dasht e intehayi hai
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Main hun meri dasht e intehayi hai Jo hai sab khuda ki khudayi hai Shukr hai us ka ke ruswa na hua Mere aage firdaus meri paarsayi hai Yahan parindon ka nahin chehchahana koi Yeh to meri hi dasht e tanhayi hai Tanha main nahin ke mere saath hai koi Usi main se to meri ab kul aashnayi hai Aasaan nahin kisi se hum aahang hona Meri bhi to mujh hi se humnawayi hai Chhord aya hun sab kuch ahd e maazi men ab Usi men wafa usi men be wafayi hai Qalb e momin ki baaten kyon karte ho dosto Paak ho dil jiska woh awwal saudaayi hai Yaro, khaak hi to hun, hai usi se ab milna Isi ka to aakhir naam jaba sayi hai Miley jab qaza to bas mujhe daurte huay miley ‘Sahil’, Rab se ab meri yehi ek duhayi hai Dasht. Desert Intehayi extremity the end Firdaus. Heaven Parsayi. Purity Aashanayi. Jaan pehchaan Humnawa. Hum ahang. Accordant Maazi. Past Qalb e momin. Heart of Believer Jaba sayi. Rub forehead on ground Qaza. Demise Duhayi. Beseech Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.