Skip to content
Main Peshawar Farebi Hu episode artwork

Jun 8, 2020 2 min

Main Peshawar Farebi Hu

from Gaurav Sharma's podcast Hosted by Pillow Talks

Irada Roz Karta Hoon , Magar Kuch Kar Nahi Sakta Main Paishawar Faraibi Hoon , Mohabbat Kar Nahi Sakta Bure Hon Ya K Ache Hon , Mujhe Is Se Nahi Matlab Mujhe Matlab Say Matlab Hai , Main Tum Se Ladd Nahi Sakta Yahan Har Doosra Insaan Khuda Khud Ko Kehta Hai Khuda Bhi Wo Ke Jo Apni He Jholi Bhar Nahi Sakta Main Tum Se Saaf Kehta Hoon ! Mujhe Tum Say Nahi Ulfat Faqat Lafzi Mohabbat Hai Main Tum Pe Mar Nahi Sakta Mohabbat Ki Musafat Ne Bahut Zakhmi Kiya Mujh Ko Abhi Yeh Zakhm Bharne Hain, Main Aahen Bhar Nahi Sakta Bhale Main Ne Nahi Chaha , Magar Tum Ne To Chaha Hai Tumhari Yaad Ko Dil Se To Baahir Kar Nahi Sakta Naa jaanay Aadmi Kyon Aadmi Se Khauf Khata Hai Jo Apnay Rab Se Darta Ho Kisi Se Dar Nahi Sakta Aray Oh Ishq !!! Chal Jaa Kam Kar , Kis Ko Bulata Hai ? Husn Bazar Main Bikta Hai , Sooli Charh Nahi Sakta Yahan Har Aik Chehray Par Alag Tehreer Likhi Hay Meri Aankhon Main Aansoo Hain , Abhi Kuch Padh Nahi Sakta Main Apni Raat Ki Zulfon Main Khud Chaandi Sajata Hoon Main Uski Maang Main Waadon Ke Heeray Jarr Nahi Sakta Bhale Jhoota , Munafiq Hoon , Bht Dhokay Diya Lekin Mera Kuch Waqt Baki Hai , Zameen Mein Garh Nahi Sakta Main Us Ghar Ka Muqeemi Hoon Jisay Oqat Kehte Hain Main Apni Had Main Rehta Hoon So Aage Badh Nahi Sakta Abhi Kuch Sher Rehte Hain Magar Likhne Nahi Hargiz Kisi Ki Laaj Rakhni Hai , So Zahir Kar Nahi Sakta ~Ali Sarmad

Episode details come from the podcast's RSS feed.

Embed this episode

Ready to play

Main Peshawar Farebi Hu

0:00 2:21

No transcript yet.

Requests help us decide what to transcribe next.

Frequently asked questions

How long is this episode of Gaurav Sharma's podcast?

This episode is 2 minutes long.

When was this Gaurav Sharma's podcast episode published?

This episode was published on June 8, 2020.

Can I download this Gaurav Sharma's podcast episode?

Yes. Use the download control on the episode player to save the publisher-provided media file.