Misl-e-boye Gul / Dard-e-dil ka Darman
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Title -Misl-e-boye Gul / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Gul biyabaan mein ik khaar na hua kya Woh veerana kaho gulzaar na hua kya Yeh aasi, tera hi bandah hai, khudaya Phir tere karam ka haqdaar na hua kya Jis dil mein khud makeen ho khuda Woh Khuftah insaan, bedaar na hua kya Mehr rahi hai teri itni mujh par, Maula Chuka na sakunga, baar na hua kya Hasratein hoti hain misl-e boye Gul Sukun na de gar gul, to khaar na hua kya Rubaru rahe mere soorat jo har aan Kaho, woh cherah-e-dildar na hua kya Jabeen pe shikan, lab pe muskaan nahin Har haal woh dil afgaar na hua kya Khaak ho jaye nasheman hasraton se jo Batao, woh ujda mazaar na hua kya Sarwat nahin, imaan hai, saro samaan mera ‘Sahil’ bata, mein zar daar na hua kya
Embed this episode
No transcript yet.