Mushkil aur aasaan kya
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Mushkil aur aasaan kya Zamin kya, aasmaan kya Mafhum hayat ka jaante hain Batao, dil aur jaan kya Aasaan kya hai batlaaye koi Yeh falsafa hamen samjhaye koi Yeh wapasi ka khayal chhodiye ‘sahil’ Maiyyat ko baar baar na nahlaaye koi Dasht e tanhayi ka sukun kamaal hai Huzur, baat nazariye ki hai wabaal nahin Ghaur karne ki baat hai , baat bardaasht ki Dil ka kijiye, zahn ka istemaal nahin Sab kuchh duroon hai beroon nahin Sukoot, sukoon aur talatum bhi, Aayenay se pursish kijiye. Maathe pe shikan aur tabassum bhi Bhulte ho kyon hayaat apni hai Lamhaat apne din raat apne Kijiye jo aaye dil men, ‘sahil’ Khwahishen, chund apne sapne Sab to na honge haasil kabhi Un hi men apne saraab bhi hain Har ja milenge ma’bad zurur Aur wohin khaana kharaab bhi hain Manind e chauraha hai zeest bhi Raaste chaar intekhaab ek hai, Nuqsaan kidhar, kidhar sawaab Kaun jaane kis raah ka kya jawaab hai. Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.