POETIC OUTLAW - Ummeed
from My Pen My Sword Hosted by MPMS
Phir ek saal beeta Ayi Dil mein nayi umeed Ghamo ko peeche chorru Zindagi ka banu mureed Khudse ye waada ab main todu na kbhi Khushiyo se bhare kal ki tayyariya main karlu abhi! Gham jinse guzra main ateet mein bane tajurbe mere, Sapno ko yaadein ab mere na de rahe hai pehre! Koi jaisa dusra Janam ho Mila mujhko Meri dua bas itni si ki de pau koi maqsad khudko! Na haatho k lakeerein padhne ka hai shauq mujhko Mehnat mera dharam aur karmo ka hai dhyan mujhko! Koshish hai ab bas mere apno k chehro pe lau hasi Na kbhi aane du unke khushiyo mein koi kami!! Phir ek saal beeta Ayi Dil mein nayi umeed Ghamo ko peeche chorru Zindagi ka banu mureed Khudse ye waada ab main todu na kbhi Khushiyo se bhare kal ki tayyariya main karlu abhi!
Embed this episode
No transcript yet.