To Kya Hua
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Raushan na ho gulzaar agar to kya hua Sitaron ka ho intezaar agar to kya hua Pabandi nahin hai koi jawab e dua per Hovey kabhi inkaar agar to kya hua Theka nahin kisi ka firasat per koi Ho jaaye bhoot sawaar agar to kya hua Mausam e saazgaar ka zaamin hai kaun kaho Na ho kal nau bahaar agar to kya hua Qadr na ki waqt ki neem shab laute ho ghar Sunayi na de raag malhaar agar to kya hua Aarzu ho us paar ki masaaib ki fikr nahin Ho kashti na patwaar agar to kya hua Jab husool e manzil ki aarzu mohkam hai ‘sahil’ Rahbar na ho phir yaar agar to kya hua Firasat. Wisdom Saazgaar. Welcome. Pleasant that which u like Zaamin. Guarantor Neem shab. Aadhi raat Masaaib museebaten Mohkam. Pukka Rahbar. Guide Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com
Embed this episode
No transcript yet.