Trailer
from SUNOH MERI JAAN WITH JOY Hosted by Joydiip Ghosh
Doston aap ka swagat hai iss Podcast channel mein. Ek pyaar bharey dil aur meethi zubaan ke saath, yeh podcast, meri taraf se ek chota sa prayaas hai aapse judne ka aur aapki zindagi ke iss safar mein ek choti si bhumika adaa karne ka. Main aapse bahut saari baatein karna chahta hoon. Main aapke saath milkar zindagi ke mayne talashna chahta hoon. Zindagi ke utaar chaadav mein main aapki woh aawaaz banna chahta hoon jo har waqt aapke saath ho. Woh aawaz jo aapke mushkil waqt mein aapka manobal badhaye, aapki taaqat baney. Yeh meri taraf se ek prayaas hai aapke zindagi ki khushiyon se judhey har pahloo par aapse baatchit karne ka, ek naya nazariya dene ka. Aap tak auron ke zindagi ki bahut hi inspirational kahaniyaan pahuchane ka jissey aap aur main thori prerna le sakein aur apni zindagi ko thora sa behtar bana sakein. Shero- shayaari se, kissey kahiniyaon se, successful logon ke zindagi se, experts ke opinions se main koshish karunga, har haftey, aapki zindagi mein thora sa value add kar sakoon. Main ummend karunga aap mere iss channel ko follow karke, mere iss prayaas ko ek mauka zaroor dengey. Agar aap instagram par hain toh waha par bhi aap mujhse judd saktein hai mera handle hai @sunohmerijaanwithjoy
Embed this episode
No transcript yet.