Zaar Zaar/ Dard-e-dil ka Darman
from Dastan -e- zindagi Hosted by Ashok Sawhny 'Sahil'
Rona aaye ‘Sahil’, to zaar zaar aaye Tufaan aaye kabhi to jandaar aaye Kaun jaane kis shaakh par kal bahaar aaye Urta kahan se mere gul par koi khaar aaye Jungle hai Jahan , haiwaan hain yahan Kya mumkin hai veeraane mein gulzaar aaye Samandar ki dost, khaufzadah hai kashti Be khabar hai, gardaab kinare ya manjhdhar aaye Yaro, lutf kya nabard ka zindagi se, kaho Jab talak na ru ba ru, ado shandaar aaye Fanaa ho jaana fitrat hai zeist ki Phir tafreeq kya, maut aaye ya rasan o daar aaye Khizaan ke is daur mein, afsurdah hai dil mera Andaleeb aaye, khwah mera dildar aaye Jaam tha, gulfaam tha, sukun na tha saqi magar Tere maikadah se aaye, to bekraar aaye Karle mujh se sauda, banale hamsafar Ai qaza, baad merg mujhe bhi, mukammal qarar aaye Aasaan hai jeena ‘Sahil’, leta reh nafs tu Wada nahin hai lekin, ke tujhe qaraar aaye
Embed this episode
No transcript yet.