Skip to content
Baatcheet (बातचीत) with Roshni podcast artwork

PODCAST · society

Baatcheet (बातचीत) with Roshni

by Roshni

Baatcheet is a podcast hosted by Roshni where she draws from her own challenges and joys a mother, a wife and most importantly, a woman. Baatcheet is for primarily for Hindi or Urdu speaking women.बातचीट रोशनी द्वारा होस्ट किया जाने वाला एक पॉडकास्ट है जहां वह अपनी चुनौतियों और एक मां, एक पत्नी और सबसे महत्वपूर्ण रूप से एक महिला की खुशियों से सीख लेती है। बातचीत मुख्य रूप से हिंदी या उर्दू भाषी महिलाओं के लिए है।

Publisher-supplied feed metadata · PodParley refreshed Oct 9, 2026 · Source feed

Episodes

  1. Baatcheet Podcast Returns - Aging Parents | Jab Maa-Baap Budhe Hone Lagein 🕰️

    Kya sirf beton ka farz hai apne budhe maa-baap (aging parents) ki dekhbhal karna? Shadi ke baad ek beti apne parents ki responsibility kaise nibha sakti hai? Suniye ek behad emotional aur dil ko chhoone wala Hindi podcast. Namaskar dosto! 'Baatcheet with Roshni' ke is deeply emotional episode…

    more
  2. Patience - Kuch logon ke liye mere andar ab Patience khatam ho chuka hai - Hindi Motivational Podcast

    Patience mere andar zindagi bhar kaafi raha hai but aaj aisa lag raha hai ki patience ab khatam chuka hai.. khaas kar kuch logo ke liye..सब्र मेरे अंदर जिंदगी भर काफी रहा है लेकिन आज ऐसा लग रहा है कि सब्र अब खत्म हो चुका है.. खास कर कुछ लोगों के लिए..

  3. Ik Mulaqat - Amrita Pritam ki Romantic Poem | Punjabi Kavita | Pyaar ki Kahani | Famous Indian Poet

    "Ek Mulaqat" Amrita Pritam ki ek gehri aur jazbaat se bhari kavita hai. Is kavita mein, Amrita Pritam do atmaon ke beech ek pal bhar ki, lekin behad gehri mulaqat ko apne shabdon mein piroti hain. Yeh kavita uss unsuni si baat ko bayaan karti hai jo kabhi boli nahi gayi, lekin jazbaat ke roop…

    more
  4. Compassion Fatigue (करुणा की मानसिक थकान) - Baatcheet Podcast with Roshni - Hindi Podcast for Women

    Compassion sabki zindagi ka ek bahut important part hai. Rozana zindagi mein iski kaafi zaroorat padti hai. Par kabhi aapne socha hai compassion bhi ek insaan ki paas limited hota hai? Aur kab, kaise aur kahaan compassion dikhana hai uske baare mein thoda selective hona chahiye? Chaliye mere…

    more
  5. Memory Cleaning - Hindi Podcast for Women - Stress aur Anxiety Kam Kariye - Peace and Relaxation

    Kya aap ko kabhi kabhi lagta hai ki hamara dimag kaash hamein sirf achi memories dikha sakta? Main bhi iss soch me padd gayi. Kaash ki apne dimaag memory ko clean karna apne Gmail ka inbox clean karne jitna simple hota. क्या आपको कभी लगता है कि हमारा दिमाग काश हमें सिर्फ अच्छी यादें दिखा सकता है?...

  6. Khwahish Nahi Mujhe - एक मन को छूने वाली कविता - Harivansh Rai Bachchan ki Hindi Kavita - Hindi Poem

    Doston aaj ke Baatcheet with Roshni ke iss episode mein main aap ke liye le kar aayi hoon ek mashoor kavita - Khwahish Nahin Mujhe. Zyadatar log yakeen maante hai ki yeh kavita likhi gayi hai Harivansh Rai Bachchan, jee haan - Amitabh Bachchan ke pita dwaara magar kuch log yeh bhi maante hai…

    more
  7. Karna - Nayak ya Khalnayak? | कर्ण - नायक या खलनायक? | Mahabharat Hindi Storytelling Podcast

    Hamara aaj ka episode hai Karna ke baare mein. Mein kuch roz pehle is soch me pad gayi ki Karna ka paatra negative character tha ya postive?Karna, Mahabharat ka ek mukhya patra, Kunti aur surya devta ka putra tha, jo divya kavach aur kundal ke saath janma tha. Janm ke baad tyag diye gaye, unka...

  8. Jaach Mainu Aa Gai - Shiv Kumar Batalvi ki Punjabi Kavita (Hindi Translations) | Poem about Love

    Shiv Kumar Batalvi ek mashhoor Punjabi kavi the, jo apni gehri bhavnao aur prem bhari kavitaon ke liye jaane jaate hain. Unka janm 23 July, 1936 ko Barapind, Punjab, British India mein hua tha aur unki mrityu 7 May, 1973 ko hui thi. Batalvi ne Punjabi sahitya par apni amar chhaap chhodi hai. Unki...

  9. Episode 32 - Uphaar (उपहार) - New Hindi Podcast - Stop Overthinking - Hindi Storytelling Episodes Peace and Calm

    Pichle subah ki baat hai, mere ghar ke darwaze pe ek Amazon delivery executive ek package lekar aaye. Package ko dekh kar acha laga, jaise mere liye kisi ne ek gift bheja ho! Aage kya hua? Chaliye, batati hoon aapko Baatcheet Podcast ke is episode mein. पिछली सुबह की बात है, मेरे घर के दरवाजे पर…

    more
  10. Episode 31 - Geeta Updesh - गीता उपदेश - Bhagwaan Krishna ka Mahabharath ka Arjun ko Updesh | Gita aur Kalyug

    Geeta Updesh Jis samay jis daur se hum guzar rahe hain, usse ghor kalyug kehna anuchit nahi hoga. Aap nimn se nimn star ke paap hote hue dekh rahe hai, man udveg aur peeda se bhar jaata hai, yeh sab dekhkar. Aisse mein humara aniyantrit hona, mansik aur sharirik roop se kuch gair mamuli nahi hai....

  11. Episode 30 - Nazar (नज़र) 🧿 - Hindi Podcast | Kaisi Lagti hai Buri Nazar (बुरी नज़र) | Hindi Story

    Aaj ka hamara baatcheet with Roshni ka episode hai Nazar ke baare mein. Nazar, yaani "evil eye," ek prachin aur gehra concept hai jo India ki sanskriti mein toh ghula-mila hai hi but kaafi purane cultures mein famous hai. Achi nazar ki toh zyaada baat hoti nahi but yeh vishwas hai ki kisi vyakti…

    more
  12. Episode 29 - Samay (समय) ⌛- Baatcheet with Roshni | Hindi Podcasts for Mindfulness & Relaxation हिंदी पॉडकास्ट

    Rozmarra ki zindagi ke shor aur bhaag-daud se kuch waqt nakiliye apne mann ki shanti aur sukoon ke liye. Baatcheet with Roshni ka aaj ka episode hai Samay ke baare mein. Ummeed hai ki isko sun kar aapko ek manohar aur shant anubhav mehsoos hoga, jahan aapko milega dhyan, mindfulness, aur ek…

    more
  13. Episode 28 - Kitabein (किताबे) - Baatcheet with Roshni | Hindi Podcast | Calming Hindi Stories | हिंदी कहानियाँ

    English mein ek saying hai "Books are our Best Friends", aur main yeh poori tarah se believe karti hoon. Jab maine pehli baar apne classroom library dekhi toh mujhe ek aise khushi mehsoos hui jo mujhe aaj bhi sirf ek kitaab dekh kar milti hai. Chaliye aaj iss baare mein kuch baatcheet karte hain?...

  14. Prayaschit (प्रायश्चित) by Bhagavati Charan Verma - Short Stories | Hindi Stories | Classic Indian Tales | भारतीय कहानियाँ

    Praayashchit prasiddh Indian lekhak Bhagavati Charan Verma kee ek kahaanee hai. Verma ji ki kahaane "Praayashchit" mein Hariya naam ka ek yuvak hai jo apane pichhale karmon ke lie apanee aatma ko shaanti nahin de paata hai. apane dvaara kie gae kuchh galat kaamon ke baad, vah apanee galatee ke…

    more
  15. Episode 27 - Sach (सच) - Baatcheet with Roshni | Calming Hindi Podcast for Women in India (शांति और सुकून)

    Aaj chaliye baat cheet karte sach ke bare mein. Kya hota hai sach aur kya hum apne satya ko theek se samajh paye hai? Maine kaafi socha hai is shabd ke baare mein aur aaj main jaanna chahti hoon ki aap is ke baare mein kya sochte hai? आज चलिए बात करते हैं सच के बारे में। क्या होता है सच और क्या…

    more
  16. Episode 26 - Gratitude (कृतज्ञता) - Baatcheet with Roshni

    Aap ki zindagi kaisi honi chahiye aur kaisi hoti hai, ispe aapko thoda bahot control hota hai. Par aapka nazariya iske baare mein kaisa ho sakta hai, is par aap ka poora control rehta hai! Aaj hum baatcheet karenge is topic pe. Toh chaliye, shuru karte hai? आपकी जिंदगी कैसी होनी चाहिए और कैसी…

    more
  17. Episode 25 - Gratitude (कृतज्ञता) - Baatcheet with Roshni

    Aap ki zindagi kaisi honi chahiye aur kaisi hoti hai, ispe aapko thoda bahot control hota hai. Par aapka nazariya iske baare mein kaisa ho sakta hai, is par aap ka poora control rehta hai! Aaj hum baatcheet karenge is topic pe. Toh chaliye, shuru karte hai? आपकी जिंदगी कैसी होनी चाहिए और कैसी…

    more
  18. Episode 24 - Guided Meditation (निर्देशित ध्यान) - Baatcheet with Roshni

    Ek topic jo kaafi listeners ne request kiya hai, woh hai meditation par. Main bahot khush hoon yeh jaan ke ki aap ko meri awaaz achi lagti hai aur aaj chaliye saath mein medidate karte hain. Toh 10 minute ki break lijiye, aur saath mein meditate karte hai. एक विषय जो काफी श्रोताओं ने अनुरोध किया...

  19. Episode 20 - Toxic Positivity (विषैली सकारात्मक्ता) - Baatcheet with Roshni

    Positive rehna toh badi achi baat hai. Makar kya kabhi kabhi hum bhool jaate hai ki joh mehsoos kar rahe hai hai usse poori tarah se mehsoos kar lena chahiye aur usse ladna nahi chahiye. Aaj main iss soch mein pad gayi toh socha ki share karoon aapke saath. सकारात्मक रहना तो बड़ी अच्छी बात है।…

    more
  20. Episode 19 - Chalchitra/Movies (चलचित्र) - Baatcheet with Roshni

    Films dekhna sabko bada pasand hai. Aakhir bollywood hamara ek national treasure hai! Main almost paanch saal ke baad gayi Vidya Balan ki nai film dekhne toh wahan mili is podcast ki ek nayi prerna. फ़िल्में देखना सबको बड़ा पसंद है। आख़िर बॉलीवुड हमारा एक राष्ट्रीय खज़ाना है! मैं लगभग पांच साल के...

  21. Gila by Premchand - Short Stories with Roshni

    Ek aur kahani, aaj jo ko likhi gai India ke ek bahot special writer dwaara - Munshi Premchand ji. Gila ek kahaani hai jo aapko achi lagegi, yeh meri ummeed hai. एक और कहानी, आज जो लिख गई भारत के एक बहुत विशेष लेखक द्वारा - मुंशी प्रेमचंद जी। गिला एक कहानी है जो आपको अच्छी लगेगी, ये मेरी उम्मीद है।

  22. Tarantula ka Zehr - Short Stories with Roshni

    Aaj ki kahaani ke liye ready hai aap? Yeh kahani meri mannpasand kahaniyon mei se ek hai, jo ki Byomkesh Bakshi ki Raseeli Kahaniya ki series mein se hai. Ummeed hai ki aap ko pasand aaye! आज की कहानी के लिए तैयार हैं आप? ये कहानी मेरी मनपसंद कहानियों में से एक है, जो ब्योमकेश बख्शी की रसीली...

  23. Devdhar ki Smritian - Short Stories with Roshni

    Aaj main aapke liye lekar aa rahi is nayi series ki doosri kahaani, Devdhar ki Smritian jo Sarat Chandra ki hi hai. Thoda different format hai, sunkar feedback zaroor bhejiyega. आज मैं आपके लिए लेकर आ रही हूं नई सीरीज की दूसरी कहानी, देवधर की स्मृतियां जो शरत चंद्र की ही हैं। थोड़ा अलग फॉर्मेट…

    more
  24. Mandir by Sarat Chandra Chattopadhyay - Short Stories with Roshni

    Aaj main lekar aa rahi hoon ek naya format is manch pe. Kuch kahaniya jinhe maine suna hai aur bahut pasand kiya hai, aaj main lekar aa rahi hoon woh kahaniyan aap ke liye! आज मैं लेकर आ रही हूं एक नया फॉर्मेट मंच पे है। कुछ कहानियाँ जिन्हे मैंने सुना है और बहुत पसंद किया है, आज मैं लेकर आ रही…

    more
  25. Episode 18 - Band Mutthi (बंद मुट्ठी) - Baatcheet with Roshni

    Zindagi ke woh saare decision jo aap apne liye lete hai woh aap apne baare mein soch kar nahi lete. Pehle aap sochte hai apne parents ke baare mein, phir thoda sa apne liye aur phir apne bacho ke liye. Aaj, jab main peeche mudh kar dekhti ho toh sochti hai kuch aise decisions ke baare mein, jo…

    more
  26. Episode 17 - Padosi (पडोसी) - Baatcheet with Roshni

    Aaj main apne bachpan ki yaadon ke baare mein soch rahi thi jab maine yaad kiya apni aunty aur meri behen, jo waise toh hamare padosi the, but parivaar ka hi hissa the. Aapke pados mein rehte hue log aapki zindagi ko kaafi impact karte hain. Par aaj kal ki tez zindagi mein, yeh kaafi badal gaya...

  27. Episode 16 - Khalbali (खलबली) - Baatcheet with Roshni

    Khalbali meri zindagi ka ek permanent hissa raha hai. Bachpan mein mera naata alag tha aur aaj thoda farak hai. Jo khalbali mein pehle khud khojti thi, aaj lagta hai ki zyaada khalbali achi nahi hai mere liye. Toh aaj baatcheet karte hai iske baare mein? खलबली मेरी जिंदगी का एक परमानेंट हिसा रहा...

  28. Episode 15 - Bhedbhaav (भेदभाव) - Baatcheet with Roshni

    Bhedbhav ki bhavna ek mahila ki zindagi ka woh hissa hai jo kaat ke nikalne ka mann karta hai but ek baar jo mehsoos ho jaye toh bhoolna mushkil hai. Aapne bhi mehsoos kiya hoga, aaj main iski baat kar rahi hoon aap ke saath. भेदभाव की भावना एक महिला की जिंदगी का वो हिसा है जो काट के निकलने का मन...

  29. Episode 14 - Happy Endings (सुखद अंत) - Baatcheet with Roshni

    Har kahani ki hoti hai ek shuruaat aur phir aata hai uska ant. Shuruaat bhale hi thodi mushkil ho par maine hamesha intezaar kiya hai ek sukhant ant - yaani happy ending ka. Aaj karte hai kuch gupshup is subject par. हर कहानी की होती है एक शुरुआत और फिर आता है उसका अंत। शुरुआत भले ही थोड़ी…

    more
  30. Episode 13 - Acche Log (अच्छे लॉग) - Baatcheet with Roshni

    Hamare aas paas ke logon ke saath hamara interactions humein bahot impact karte hain. Kuch hote hai thode mushkil aur kuch hote hai bahot zyada acche. Kuch din pehle ek anjaan desh mein, ek anjaan si sthithi mein, mujhe mile kuch acche log! हमारे आस-पास के लोगों के साथ हमारी बातचीत हम बहुत प्रभाव...

  31. Episode 12 - Subah (सुबह) - Baatcheet with Roshni

    Jab subah aap apni aankhein kholte hai, toh roz aapki mulakaat hoti hai ek nahi subah se. Pehle meri subah alag hoti thi, aur aaj ki subah ekdum alag hai. Chaliye aaj baat karte hai kaisi meri subah shuru hoti thi, aur kaise shuru hoti hai aaj. Acha laga toh share kariyega aur bataiyega aapki…

    more
  32. Episode 11 - Prerna (प्रेरणा) - Baatcheet with Roshni

    Ek lambi aur swasthya zindagi jeene ke liye, ek purpose bahot zaroori hai! Jab subah aap ka din shuru hota hai, toh pehli khayal aapko kya aata hai? Jaante hai ki aapke prerna aur purpose aap ke swasthya ko impact kar sakte hain? एक लंबी और स्वास्थ्य जिंदगी जीने के लिए, एक उद्देश्य बहुत जरूरी है!...

  33. Episode 10 - Meri Marzi (मेरी मर्जी) - Baatcheet with Roshni

    Aaj main ek soch me pad gayi - zindagi mein maine zyada tar yeh bola hai ki "jaisi aapki marzi", kabhi kabhi apni marzi ke baari mein socha hai aur kabhi-kabhi sabki razamandi mein apni marzi dhoondti thi. Pichle hafte ek aisi ghatna ghati aur maine "meri marzi" ke baare mein kaafi socha aur aaj...

  34. Episode 9 - Maa (माँ) - Baatcheet with Roshni

    Kuch topics aise hote hai jo sab ki jeevan ko prabhavit karte hain. Aisa ek vishey hai Maa ka. Aaj main iske baare mein aapse baat karungi, kuch anubhav meri Maa ke saath, kuch Maa hone ke anubhav se! कुछ विषय ऐसे होते हैं जो सभी के जीवन को प्रभावित करते हैं। ऐसा एक विषय है माँ का। आज मैं इसके…

    more
  35. Episode 8 - Faith (आस्था) - Baatcheet with Roshni

    Meri zindagi ka ek bahut zaroori hissa hai meri faith. Aapki zindagi mein kya mahatv hai iska? Aaj charcha karte hai iss topic ki. मेरी जिंदगी का एक बहुत जरूरी हिसा है मेरा विश्वास। आपकी जिंदगी में क्या महत्व है इसका? आज चर्चा करते हैं इस विषय की। Email: [email protected]

  36. Episode 7 - Menopause - Baatcheet with Roshni

    Kya hai Menopause? Menopause - jo ki ek mahila ki zindagi ka ek bahot zaroori hissa hai, iski baat kam hoti hai. Mein nahi maanti ki yeh subject gupt rakhna chahiye. Aaj main yeh kadam utha rahi hoon, yeh subject shuru karne ka. Aap bhi suniye, kisi saheli ko sunaaiye aur ghar mi is subject ki…

    more
  37. Episode 6 - Sajna hai Mujhe - Baatcheet with Roshni

    Sajna sawarna ek mahila ki zindagi ka hissa hai. Meri zindagi bhi. Magar bachpane se aaj tak kaafi cheezein badli hai. Aiye aak zikr karte hai mere anokhe experience ka. सजना संवरना एक महिला की जिंदगी का हिसा है। मेरी जिंदगी भी. मगर बचपने से आज तक काफ़ी चीज़ें बदली हैं। आइए एक जिक्र करते हैं मेरे...

  38. Episode 5 - Meri Chotti Behan (मेरी छोटी बहन) - Baatcheet with Roshni

    Prakriti ke sabse anokhe rishton mein ek rishta jo mere liye bahut mahatvapurn hai, woh hai mera aur meri chhoti behen ka rishta. Aaj mai, Roshni, aap se baat karungi meri aur meri pyaari chhoti behen ka rishta. प्रकृति के सबसे अनोखे रिश्तों में एक रिश्ता जो मेरे लिए बहुत महत्वपूर्ण है, वो है…

    more
  39. Episode 4 - Yeh Mera Ghar - Baatcheet with Roshni

    Hai toh aaj Sunday aur mera ek naya episode banane ka man toh nahi tha par kal ka episode meri ma ko bada pasand aaya. Toh phir jo motivation mili usko rokna mushkil ho gaya! Aayie baat garte hai ghar ka kya matlab hota hai. Kya matlab tha mere liye jab main ek ladki thi, aur kya bana jab meri…

    more
  40. Episode 3 - Kissa Rasoighar Ka - Baatcheet with Roshni

    आज मैं आपको अपनी रसोई के साथ अपने सफर के बारे में बताऊंगी। मैं पहली बार रसोई में कब गई? भारत में एक महिला का रसोई के साथ रिश्ता कैसे शुरू होता है? आज मैं अपनी कहानी बताऊंगी, शायद यह आपकी कहानी से मिलती-जुलती हो! Today I will tell you about my journey with my Rasoi (kitchen). When did I enter the...

  41. Episode 2 - Ageing Parents - Baatcheet with Roshni

    The cycle of life begins with an infant needing care, a young child learning to walk, a young adult learning to live and then an adult finally standing up on their own two feet. The next step of this cycle of life is old age, needing care. Supporting our parents is our duty, whether they are my...

  42. Episode 1 - Manoranjan feat Baby Baaji Drama Series - Baatcheet with Roshni

    In this first episode, I want to talk about something funny that happened to me and how I dealt with it. आज मैं बात करना चाहती हूं एक मज़ेदार घाटना के बारे में और कैसे मैंने उसे संभाला। शायद ये आपके साथ भी हुआ है?

  43. Baatcheet Podcast Trailer - Zikr kuch kahi ankahi baton ka

    Aaeie karte hain baat cheet, zikr karein kuch khatti, kuch meethi, kuch chatpati, kahi ankahi, suni absuni baaton ka!

Type above to search every episode's transcript for a word or phrase. Matches are scoped to this podcast.

Searching…

We're indexing this podcast's transcripts for the first time — this can take a minute or two. We'll show results as soon as they're ready.

No matches for "" in this podcast's transcripts.

Showing of matches

No topics indexed yet for this podcast.

Loading reviews...

ABOUT THIS SHOW

Baatcheet is a podcast hosted by Roshni where she draws from her own challenges and joys a mother, a wife and most importantly, a woman. Baatcheet is for primarily for Hindi or Urdu speaking women.बातचीट रोशनी द्वारा होस्ट किया जाने वाला एक पॉडकास्ट है जहां वह अपनी चुनौतियों और एक मां, एक पत्नी और सबसे महत्वपूर्ण रूप से एक महिला की खुशियों से सीख लेती है। बातचीत मुख्य रूप से हिंदी या उर्दू भाषी महिलाओं के लिए है।

HOSTED BY

Roshni

Frequently Asked Questions

How many episodes does Baatcheet (बातचीत) with Roshni have?

Baatcheet (बातचीत) with Roshni currently has 46 episodes available on PodParley. New episodes are automatically indexed when they're published to the podcast feed.

What is Baatcheet (बातचीत) with Roshni about?

Baatcheet is a podcast hosted by Roshni where she draws from her own challenges and joys a mother, a wife and most importantly, a woman. Baatcheet is for primarily for Hindi or Urdu speaking women.बातचीट रोशनी द्वारा होस्ट किया जाने वाला एक पॉडकास्ट है जहां वह अपनी चुनौतियों और एक मां, एक पत्नी और...

How often does Baatcheet (बातचीत) with Roshni release new episodes?

Baatcheet (बातचीत) with Roshni has 46 episodes. Check the episode list to see recent publication dates and frequency.

Where can I listen to Baatcheet (बातचीत) with Roshni?

You can listen to Baatcheet (बातचीत) with Roshni on PodParley by clicking any episode. We provide an embedded audio player for direct listening, and you can also subscribe via your preferred podcast app using the RSS feed.

Who hosts Baatcheet (बातचीत) with Roshni?

Baatcheet (बातचीत) with Roshni is created and hosted by Roshni.
URL copied to clipboard!